namoo ho ishq ki apne kiran aahista aahista | नमू हो इश्क़ की अपने किरन आहिस्ता आहिस्ता

  - Shajar Abbas

namoo ho ishq ki apne kiran aahista aahista
nigaahon ka nazar se ho milan aahista aahista

dukhan ko kaise karte hain sukhun aahista aahista
sikha doonga tumhein ye saare fan aahista aahista

palat aa ai mere hamdam labon se choom le isko
mera murjha raha hai sab chaman aahista aahista

tumhaare lams se mil jaayegi mujhko shifaa yaabi
mere rukhsaar par rakho dehan aahista aahista

na karna ajnabi khud ko tasavvur tum mere ghar mein
tumhein mehsoos hoga apnaapan aahista aahista

ye sach hai thodi daulat aate hi kamzarf logon ka
badal jaate hain sab chaal-o-chalan aahista aahista

badha denge qadam ki is qadar raftaar raahon mein
pukaar utthegi paanv ki rasan aahista aahista

namoo pehle hamaara mahtaab-e-eid to hove
bharega phir sitaaron se gagan aahista aahista

suno vo muskurana chhod denge mera daava hai
mere rookh se hatao to kafan aahista aahista

sada-e-qalb-e-muztar hai zuhoor-e-mehdi ho ja
munavvar hoga khushiyon se zaman aahista aahista

shajar ki doston ran mein zara aamad to hone do
badal jayega gulshan mein ye ran aahista aahista

नमू हो इश्क़ की अपने किरन आहिस्ता आहिस्ता
निगाहों का नज़र से हो मिलन आहिस्ता आहिस्ता

दुखन को कैसे करते हैं सुख़न आहिस्ता आहिस्ता
सिखा दूँगा तुम्हें ये सारे फ़न आहिस्ता आहिस्ता

पलट आ ऐ मेरे हमदम लबों से चूम ले इसको
मेरा मुरझा रहा है सब चमन आहिस्ता आहिस्ता

तुम्हारे लम्स से मिल जाएगी मुझको शिफ़ा याबी
मेरे रूख़सार पर रक्खो दहन आहिस्ता आहिस्ता

न करना अजनबी ख़ुद को तसव्वुर तुम मेरे घर में
तुम्हें महसूस होगा अपनापन आहिस्ता आहिस्ता

ये सच है थोड़ी दौलत आते ही कमज़र्फ लोगों का
बदल जाते हैं सब चाल-ओ-चलन आहिस्ता आहिस्ता

बढ़ा देंगे क़दम की इस क़दर रफ़्तार राहों में
पुकार उट्ठेगी पाँव की रसन आहिस्ता आहिस्ता।

नमू पहले हमारा माहताब-ए-ईद तो होवे
भरेगा फिर सितारों से गगन आहिस्ता आहिस्ता

सुनो वो मुस्कुराना छोड़ देंगे मेरा दावा है
मेरे रूख़ से हटाओ तो कफ़न आहिस्ता आहिस्ता

सदा-ए-क़ल्ब-ए-मुज़्तर है ज़हूर-ए-मेहदी हो जा
मुनव्वर होगा ख़ुशियों से ज़मन आहिस्ता आहिस्ता

शजर की दोस्तों रन में ज़रा आमद तो होने दो
बदल जायेगा गुलशन में ये रन आहिस्ता आहिस्ता

  - Shajar Abbas

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari