aakhir batao mujhko mere yaar kyun karein
ham tumse apne ishq ka izhaar kyun karein
parwardigaar-e-paak makeen hai quloob mein
ham aap ke quloob ko mismar kyun karein
tumko suna ke dard bhari apni dastaan
jazbaat apne khaamkhwaa bekar kyun karein
bhaai ne ek bhaai se khush hoke ye kaha
aangan ke beech bhaai ye deewaar kyun karein
batlaao kyun karein bhala maatam judaai ka
batlaao apne surkh ye rukhsaar kyun karein
आख़िर बताओ मुझको मेरे यार क्यों करें
हम तुमसे अपने इश्क़ का इज़हार क्यों करें
परवरदिगार-ए-पाक मकीं है क़ुलूब में
हम आप के क़ुलूब को मिस्मार क्यों करें
तुमको सुना के दर्द भरी अपनी दास्ताँ
जज़्बात अपने खामख्वा बेकार क्यों करें
भाई ने एक भाई से ख़ुश होके ये कहा
आँगन के बीच भाई ये दीवार क्यों करें
बतलाओ क्यों करें भला मातम जुदाई का
बतलाओ अपने सुर्ख़ ये रूख़सार क्यों करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Gham Shayari Shayari