rakhi hai laaj aise sada etibaar kii | रक्खी है लाज ऐसे सदा एतिबार की

  - Shajar Abbas

rakhi hai laaj aise sada etibaar kii
hamne wafa kii unse shajar be shumaar kii

karte hain intizaar tira bas ye sochkar
shaayad ye intiha ho tire intizaar kii

us khoobru se chehre ke deedaar ke siva
koii dava batao dil ae be qaraar kii

teer o tabar pe shaam ke in soormaaon par
haavi hai ran mein dekho hasi sheer khwaar kii

ham apne dil ke haathon the majboor ai shajar
hamne har ik khata yun tiri dar kinaar kii

रक्खी है लाज ऐसे सदा एतिबार की
हमने वफ़ा की उनसे शजर बे शुमार की

करते हैं इंतिज़ार तिरा बस ये सोचकर
शायद ये इंतिहा हो तिरे इंतिज़ार की

उस ख़ूबरू से चेहरे के दीदार के सिवा
कोई दवा बताओ दिल ए बे क़रार की

तीर ओ तबर पे शाम के इन सूरमाओं पर
हावी है रन में देखो हँसी शीर ख़्वार की

हम अपने दिल के हाथों थे मजबूर ऐ शजर
हमने हर इक ख़ता यूँ तिरी दर किनार की

  - Shajar Abbas

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari