shiddat-e-dard ki rasai de
gar khuda hai to phir dikhaai de
apne honthon se choom aankhen meri
meri aankhon ko roshnai de
mujhko barbaad karne waale bashar
aa mujhe aa ke tu badhaai de
qaid-e-shiddat mein main bahut khush hoon
qaid-e-shiddat se mat rihaai de
mujhse ye muskuraa ke bola shajar
ba-wafa hai to phir wafaai de
शिद्दत-ए-दर्द की रसाई दे
गर ख़ुदा है तो फिर दिखाई दे
अपने होंठों से चूम आँखें मेरी
मेरी आँखों को रौशनाई दे
मुझको बर्बाद करने वाले बशर
आ मुझे आ के तू बधाई दे
क़ैद-ए-शिद्दत में मैं बहुत ख़ुश हूँ
क़ैद-ए-शिद्दत से मत रिहाई दे
मुझसे ये मुस्कुरा के बोला शजर
बा-वफ़ा है तो फिर वफ़ाई दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Aadmi Shayari Shayari