mita doonga mohabbat ka nishaan aahista aahista | मिटा दूँगा मोहब्ब्त का निशाँ आहिस्ता आहिस्ता

  - Shajar Abbas

mita doonga mohabbat ka nishaan aahista aahista
jala doonga teri sab chitthiyan aahista aahista

mata-e-jaan ki aamad agar ik baar ho jaaye
munavvar hoga phir ye aashiyaan aahista aahista

sitaare jis tarah se chaand ke pahluu mein hote hain
pehanti hai vo aise baaliyan aahista aahista

tumhaare baad sab kumhala gaye hain gul gulistaan ke
aur hijrat kar rahi hain titliyan aahista aahista

taraashoonga main jab dast-e-adab se phool ke tan ko
uthega khaaron ke dil se dhuaan aahista aahista

sunaai dastaan-e-gham jo maine to vo kah utthe
miyaan aahista aahista miyaan aahista aahista

hamaari shayari mein dekhna tum meer-o-ghalib ki
nazar aayengi tumko jhalakiyaan aahista aahista

shajar par jab samar aa jaayenge tum dekhna yaaron
ye jhuk jaayengi saari daliyaan aahista aahista

ham itni tez kar denge shajar raftaar kadmon ki
kahegi cheekhkar ye bediyaan aahista aahista

मिटा दूँगा मोहब्ब्त का निशाँ आहिस्ता आहिस्ता
जला दूँगा तेरी सब चिट्ठियाँ आहिस्ता आहिस्ता

मता-ए-जान की आमद अगर इक बार हो जाए
मुनव्वर होगा फिर ये आशियाँ आहिस्ता आहिस्ता

सितारे जिस तरह से चाँद के पहलू में होते हैं
पहनती है वो ऐसे बालियाँ आहिस्ता आहिस्ता

तुम्हारे बाद सब कुम्हला गए हैं गुल गुलिस्ताँ के
और हिजरत कर रही हैं तितलियाँ आहिस्ता आहिस्ता

तराशूँगा मैं जब दस्त-ए-अदब से फूल के तन को
उठेगा ख़ारों के दिल से धुआँ आहिस्ता आहिस्ता

सुनाई दास्तान-ए-ग़म जो मैंने तो वो कह उट्ठे
मियाँ आहिस्ता आहिस्ता मियाँ आहिस्ता आहिस्ता

हमारी शायरी में देखना तुम मीर-ओ-गा़लिब की
नज़र आयेंगी तुमको झलकियाँ आहिस्ता आहिस्ता

शजर पर जब समर आ जाएँगे तुम देखना यारों
ये झुक जाएँगी सारी डालियाँ आहिस्ता आहिस्ता

हम इतनी तेज़ कर देगें शजर रफ़्तार कदमों की
कहेंगी चीख़कर ये बेड़ियाँ आहिस्ता आहिस्ता

  - Shajar Abbas

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari