hijr mein bhanware ke sar peet ke roee titli | हिज्र में भँवरे के सर पीट के रोई तितली

  - Shajar Abbas

hijr mein bhanware ke sar peet ke roee titli
umr bhar chain se ik pal nahin soi titli

laash pe bhanware kii ghash kar gai itna kah kar
meri jaisi ya khuda ujde na koii titli

surkh rukhsaar hue khoon se daaman bheega
yaad mein bhanware kii jis waqt bhi khoi titli

हिज्र में भँवरे के सर पीट के रोई तितली
उम्र भर चैन से इक पल नहीं सोई तितली

लाश पे भँवरे की ग़श कर गई इतना कह कर
मेरी जैसी या ख़ुदा उजड़े न कोई तितली

सुर्ख़ रुख़्सार हुए ख़ून से दामन भीगा
याद में भँवरे की जिस वक़्त भी खोई तितली

  - Shajar Abbas

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari