ye kaun kehta phire hai bhala zamaane mein | ये कौन कहता फिरे है भला ज़माने में

  - Shajar Abbas

ye kaun kehta phire hai bhala zamaane mein
bada sukoon mile hai sharaab-khaane mein

ajeeb lagta hai sabko ye sab bataane mein
lage hue hain musalsal tumhein bhulaane mein

laga raha hai kahi koi aag basti mein
koi laga hai kahi bastiyaan basaane mein

gareeb khaane ko mere bhi chaar chaand lagen
agar ho aap ki aamad ghareeb-khaane mein

baa naam-e-hazrat-e-shabbeer maine kharch kiya
izafa ho gaya murshid mere khazaane mein

ये कौन कहता फिरे है भला ज़माने में
बड़ा सुकून मिले है शराब-ख़ाने में

अजीब लगता है सबको ये सब बताने में
लगे हुए हैं मुसलसल तुम्हें भुलाने में

लगा रहा है कहीं कोई आग बस्ती में
कोई लगा है कहीं बस्तियाँ बसाने में

ग़रीब ख़ाने को मेरे भी चार चाँद लगें
अगर हो आप की आमद ग़रीब-ख़ाने में

बा नाम-ए-हज़रत-ए-शब्बीर मैंने ख़र्च किया
इज़ाफ़ा हो गया मुर्शिद मेरे ख़ज़ाने में

  - Shajar Abbas

Muflisi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Muflisi Shayari Shayari