ab vo soorat nazar nahin aati | अब वो सूरत नज़र नहीं आती

  - Shajar Abbas

ab vo soorat nazar nahin aati
aankh kyun meri bhar nahin aati

dil ke dariya mein kyun mohabbat ki
ab koi bhi lehar nahin aati

phir rahi hai shehar mein bhatki hui
kyun khushi mere ghar nahin aati

yaar main to mareez-e-ishq nahin
neend kyun raat bhar nahin aati

gul ki rag se tapak raha hai lahu
khaar ki chashm-e-tar nahin aati

jiska main muntazir hoon barson se
kyun khuda vo sehar nahin aati

ya ilaahi ho khair qaasid ki
unki ab kuchh khabar nahin aati

aable zere pa nikal aaye
aur manzil nazar nahin aati

main musalsal sadaaein deta hoon
aur sada laut kar nahin aati

dil nahin rehta sang ho jaata
aah is se agar nahin aati

shayari karte ho sahi hai shajar
par tumhein khoob tar nahin aati

अब वो सूरत नज़र नहीं आती
आँख क्यों मेरी भर नहीं आती

दिल के दरिया में क्यों मोहब्बत की
अब कोई भी लहर नहीं आती

फिर रही है शहर में भटकी हुई
क्यों ख़ुशी मेरे घर नहीं आती

यार मैं तो मरीज़-ए-इश्क़ नहीं
'नींद क्यों रात भर नहीं आती'

गुल की रग से टपक रहा है लहू
ख़ार की चश्म-ए-तर नहीं आती

जिसका मैं मुंतज़िर हूँ बरसों से
क्यों ख़ुदा वो सहर नहीं आती

या इलाही हो ख़ैर क़ासिद की
उनकी अब कुछ ख़बर नहीं आती

आबले ज़ेरे पा निकल आए
और मंज़िल नज़र नहीं आती

मैं मुसलसल सदाएँ देता हूँ
और सदा लौट कर नहीं आती

दिल नहीं रहता संग हो जाता
आह इस से अगर नहीं आती

शायरी करते हो सही है 'शजर'
पर तुम्हें ख़ूब तर नहीं आती

  - Shajar Abbas

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari