jahaan mein haq ko haq kehne ki jurat hai to bismillah
jo dil mein jazba-e-shauq-e-shahaadat hai to bismillah
muhabbat mein shikaayat ki ijaazat to nahin lekin
agar phir bhi tumhein koi shikaayat hai to bismillah
saba ne phool se poocha labon se choom luun tujhko
jawaaban phool ye bola zaroorat hai to bismillah
nigaah-e-naaz ke zariye dil-e-naadaan churaane ki
tumhaare shehar ki koi rivaayat hai to bismillah
agar nafrat ka haami hai to mere paas mat aana
agar paighaam paighaam-e-mohabbat hai to bismillah
muhabbat ke gulistaan mein agar bhanware lab-e-gul ko
lab-e-naazuk se bose ki jo chaahat hai to bismillah
ye dil dasht-e-junoon ki misl hai dasht-e-junoon mein gar
haqeeqat mein tumhein rahne ki hasrat hai to bismillah
namaaz-e-ishq ke andar firaq-e-yaar ka sajda
ada karne ki gar che tujhmein quwwat hai to bismillah
hamaara dil musalla hai namaaz-e-ishq padhne ka
azaan-e-wasl de waqt-e-iqaamat hai to bismillah
जहाँ में हक़ को हक़ कहने की जुरअत है तो बिस्मिल्लाह
जो दिल में जज़्बा-ए-शौक़-ए-शहादत है तो बिस्मिल्लाह
मुहब्बत में शिकायत की इजाज़त तो नहीं लेकिन
अगर फिर भी तुम्हें कोई शिकायत है तो बिस्मिल्लाह
सबा ने फूल से पूछा लबों से चूम लूँ तुझको
जवाबन फूल ये बोला ज़रूरत है तो बिस्मिल्लाह
निगाह-ए-नाज़ के ज़रिए दिल-ए-नादाँ चुराने की
तुम्हारे शहर की कोई रिवायत है तो बिस्मिल्लाह
अगर नफ़रत का हामी है तो मेरे पास मत आना
अगर पैग़ाम पैग़ाम-ए-मुहब्बत है तो बिस्मिल्लाह
मुहब्बत के गुलिस्ताँ में अगर भँवरे लब-ए-गुल को
लब-ए-नाज़ुक से बोसे की जो चाहत है तो बिस्मिल्लाह
ये दिल दश्त-ए-जुनूँ की मिस्ल है दश्त-ए-जुनूँ में गर
हक़ीक़त में तुम्हें रहने की हसरत है तो बिस्मिल्लाह
नमाज़-ए-इश्क़ के अन्दर फ़िराक़-ए-यार का सज्दा
अदा करने की गर चे तुझमें क़ुव्वत है तो बिस्मिल्लाह
हमारा दिल मुसल्ला है नमाज़-ए-इश्क़ पढ़ने का
अज़ान-ए-वस्ल दे वक़्त-ए-इक़ामत है तो बिस्मिल्लाह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Environment Shayari Shayari