subah se shaam talak dhoop ko takte takte
aankh jaati hai chhalk dhoop ko takte takte
sard mausam ne use kitna sataaya hoga
jisne jhapki na palak dhoop ko takte takte
aftaab aa meri rag rag mein sharaare bhar de
badhti jaaye hai lalak dhoop ko takte takte
har jagah dhooondhne ke baad dikhi hai mujhko
aapki ek jhalak dhoop ko takte takte
raqs karte hai hawaon ke ragam par milkar
ye zameen aur falak dhoop ko takte takte
सुबह से शाम तलक धूप को तकते तकते
आँख जाती है छलक धूप को तकते तकते
सर्द मौसम ने उसे कितना सताया होगा
जिसने झपकी न पलक धूप को तकते तकते
आफ़ताब आ मेरी रग़ रग़ में शरारे भर दे
बढ़ती जाए है ललक धूप को तकते तकते
हर जगह ढूंढने के बाद दिखी है मुझको
आपकी एक झलक धूप को तकते तकते
रक़्स करते है हवाओं के रिदम पर मिलकर
ये ज़मीं और फ़लक धूप को तकते तकते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dipanshu Shams
our suggestion based on Dipanshu Shams
As you were reading Manzil Shayari Shayari