dil mera rooth chuka hai ye muhabbat ke baghair
jism kamzor hua mera bagaavat ke baghair
chot laazim hai muhabbat mein zamaane waalon
ik ghazal bhi na mukammal hai aziyat ke baghair
uski agar se pata chalti hai khoobi uski
likh raha hoon main ghazal uski ziyaarat ke baghair
guftagoo hogi agar raat mein jaan-e-jaanaan
so nahin saktaa hoon main teri ijaazat ke baghair
ishq ka kaisa nasha chadh gaya daanish tujh par
uski taarif tu karta hai haqeeqat ke baghair
दिल मेरा रूठ चुका है ये मुहब्बत के बग़ैर
जिस्म कमज़ोर हुआ मेरा बग़ावत के बग़ैर
चोट लाज़िम है मुहब्बत में ज़माने वालों
इक ग़ज़ल भी न मुकम्मल है अज़ीयत के बग़ैर
उसकी ज़ुल्फ़ों से पता चलती है ख़ूबी उसकी
लिख रहा हूँ मैं ग़ज़ल उसकी ज़ियारत के बग़ैर
गुफ़्तगू होगी अगर रात में जान-ए-जानाँ
सो नहीं सकता हूँ मैं तेरी इजाज़त के बग़ैर
इश्क़ का कैसा नशा चढ़ गया 'दानिश' तुझ पर
उसकी तारीफ़ तू करता है हक़ीक़त के बग़ैर
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading undefined Shayari