ghaafil to nahin hain ham ulfat ki haqeeqat se | ग़ाफ़िल तो नहीं हैं हम उलफ़त की हक़ीक़त से

  - Shayar Danish

ghaafil to nahin hain ham ulfat ki haqeeqat se
dil haar chuka hai ab is daur-e-mohabbat se

patthar ka hai dil uska maaloom hamein bhi hai
apna vo nahin hoga koi bhi nazaakat se

ehsaan zara kar do ham par bhi dagabaazon
phir se na sitam dhao tum apni sharaafat se

ham itni bulandi se badhte hain bahut aage
dushman bhi hamaare sab hairaan hain shohrat se

kuchh log jafaa karke waapas bhi nahin aate
tum bach ke raho daanish chaahat ki siyaasat se

ग़ाफ़िल तो नहीं हैं हम उलफ़त की हक़ीक़त से
दिल हार चुका है अब इस दौर-ए-मुहब्बत से

पत्थर का है दिल उसका मालूम हमें भी है
अपना वो नहीं होगा कोई भी नज़ाकत से

एहसान ज़रा कर दो हम पर भी दग़ाबाज़ों
फिर से न सितम ढ़ाओ तुम अपनी शराफ़त से

हम इतनी बुलंदी से बढ़ते हैं बहुत आगे
दुश्मन भी हमारे सब हैरान हैं शोहरत से

कुछ लोग जफ़ा करके वापस भी नहीं आते
तुम बच के रहो 'दानिश' चाहत की सियासत से

  - Shayar Danish

Shohrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Shohrat Shayari Shayari