usko main jab bhi padhta hoon aayaat kii tarah
aankhon se ashk girte hain barsaat kii tarah
tabdeel ho na paai meri raat jashn mein
guzri hai meri raat sabhi raat kii tarah
uske liye main rehta hoon har waqt muntazir
mohlat mujhe vo deta hai khairaat kii tarah
bangaal kii tarah main samajhta raha use
afsos dil jala diya gujraat kii tarah
daanish yun tere shehar mein khushiyaan hain isliye
mayyat meri nikal rahi baaraat kii tarah
उसको मैं जब भी पढ़ता हूँ आयात की तरह
आँखों से अश्क गिरते हैं बरसात की तरह
तब्दील हो न पाई मेरी रात जश्न में
गुज़री है मेरी रात सभी रात की तरह
उसके लिए मैं रहता हूँ हर वक़्त मुंतज़िर
मोहलत मुझे वो देता है ख़ैरात की तरह
बंगाल की तरह मैं समझता रहा उसे
अफ़सोस दिल जला दिया गुजरात की तरह
'दानिश' यूँ तेरे शहर में ख़ुशियाँ हैं इसलिए
मय्यत मेरी निकल रही बारात की तरह
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading undefined Shayari