kisi se pyaar kar ke zindagi dushwaar karta hoon
main hoon naadaan jo us shakhs se iqraar karta hoon
kabhi jab dekhta hoon to vo nazaron ko churaata hai
main phir tasveer uski dekh kar deedaar karta hoon
meri khwaahish yahi hai be-wafa ko alvida kar doon
magar in khwahishon se aaj kal takraar karta hoon
mujhe jo chhod kar khud ko kahi masroof kar daala
khayaalon mein usi ki khud ko main beemaar karta hoon
zamaana jaanta hai yun mere har dard ko daanish
main apne dard ko shaayad sar-e-bazaar karta hoon
किसी से प्यार कर के ज़िंदगी दुश्वार करता हूँ
मैं हूँ नादान जो उस शख़्स से इक़रार करता हूँ
कभी जब देखता हूँ तो वो नज़रों को चुराता है
मैं फिर तस्वीर उसकी देख कर दीदार करता हूँ
मेरी ख़्वाहिश यही है बे-वफ़ा को अलविदा कर दूँ
मगर इन ख़्वाहिशों से आज कल तकरार करता हूँ
मुझे जो छोड़ कर ख़ुद को कहीं मसरूफ़ कर डाला
ख़यालों में उसी की ख़ुद को मैं बीमार करता हूँ
ज़माना जानता है यूँ मेरे हर दर्द को 'दानिश'
मैं अपने दर्द को शायद सर-ए-बाज़ार करता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Aah Shayari Shayari