baithe baithe kaat raha hoon un belon ko aari se
jinko tumne baandh diya tha dil ki chaar-diwaari se
shaayad ye hi soch ke burti subh se gumsum baitha hai
shaayad chandar ne phir koi phool churaaya kyaari se
na-ummeedi rehzan bankar jab se saath hui mere
ummeedon ke saare bakse loot gaye baari baari se
paani ki tasveer dikhaakar kiski pyaas bujhi aakhir
phir bhi mera dil abtak to bahla hai gam-khwaari se
apne hi maathe par apne haathon se thapki dekar
bedaari se ladta hoon ya apni dil-aazaari se
pehli baarish pehli chaahat pehla bosa pehla dukh
ye cheezen kab ghaayb hongi jism ki is almaari se
बैठे बैठे काट रहा हूँ उन बेलों को आरी से
जिनको तुमने बांध दिया था दिल की चार-दिवारी से
शायद ये ही सोच के बर्टी सुब्ह से गुमसुम बैठा है
शायद चन्दर ने फिर कोई फूल चुराया क्यारी से
ना-उम्मीदी रहज़न बनकर जब से साथ हुई मेरे
उम्मीदों के सारे बक्से लुट गए बारी बारी से
पानी की तस्वीर दिखाकर किसकी प्यास बुझी आख़िर
फिर भी मेरा दिल अबतक तो बहला है ग़म-ख़्वारी से
अपने ही माथे पर अपने हाथों से थपकी देकर
बेदारी से लड़ता हूँ या अपनी दिल-आज़ारी से
पहली बारिश पहली चाहत पहला बोसा पहला दुख
ये चीजें कब ग़ायब होंगी जिस्म की इस अलमारी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivam chaubey
our suggestion based on Shivam chaubey
As you were reading Kiss Shayari Shayari