utha kar rakh diye hamne jatan se
utaare hain jo dukh apne badan se
nahin milte hain mere log vaise
mile soorajmukhi jaise kiran se
mujhe gamlon mein rakhkar kya karoge
mera kya raabta hai is chaman se
main khush to ho nahin paaya magar sun
tere kaanon ke jhumkon ki khanan se
safar ki ot lekar ke khade hain
kasam se thak gaye hain ham thakan se
kisi imkaan par aakar milenge
kabhi laute jo ham is raah ae ran se
उठा कर रख दिये हमने जतन से
उतारे हैं जो दुख अपने बदन से
नहीं मिलते हैं मेरे लोग वैसे
मिले सूरजमुखी जैसे किरन से
मुझे गमलों में रखकर क्या करोगे
मेरा क्या राब्ता है इस चमन से
मैं खुश तो हो नहीं पाया मगर सुन
तेरे कानों के झुमकों की खनन से
सफर की ओट लेकर के खड़े हैं
कसम से थक गए हैं हम थकन से
किसी इम्कान पर आकर मिलेंगे
कभी लौटे जो हम इस राह ए रन से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivam chaubey
our suggestion based on Shivam chaubey
As you were reading Rishta Shayari Shayari