nafrat ko baante hain mohabbat ko chhodkar | नफ़रत को बाँटते हैं मोहब्बत को छोड़कर

  - Waseem Siddharthnagari

nafrat ko baante hain mohabbat ko chhodkar
afwaah phailti hai haqeeqat ko chhodkar

kaise bhala ye bacche mohabbat karein vasi
nafrat basi hai dil mein muravvat ko chhodkar

do chaar din kii aish ke khaatir mere habeeb
kis kis ko maanne lage qudrat ko chhodkar

haalaat pooche mujhse agar mulk kii koii
haalaat pur-sukoon hai dahshat ko chhodkar

rishton mein ab tapaak nazar aata hi nahin
sab talkh ho gaye hain halaavat ko chhodkar

har shakhs jaan-nisaar hai manzil kii or par
kya kya na jaane kar rahe mehnat ko chhodkar

duniya waseem kii hai bahut mukhtalif suno
har kaam hai pasand shikaayat ko chhodkar

नफ़रत को बाँटते हैं मोहब्बत को छोड़कर
अफ़वाह फैलती है हक़ीक़त को छोड़कर

कैसे भला ये बच्चे मोहब्बत करें 'वसी'
नफ़रत बसी है दिल में मुरव्वत को छोड़कर

दो चार दिन की ऐश के ख़ातिर मेरे हबीब
किस किस को मानने लगे कुदरत को छोड़कर

हालात पूछे मुझसे अगर मुल्क की कोई
हालात पुर-सुकून है दहशत को छोड़कर

रिश्तों में अब तपाक नज़र आता ही नहीं
सब तल्ख़ हो गए हैं हलावत को छोड़कर

हर शख़्स जाँ-निसार है मंज़िल की ओर पर
क्या क्या न जाने कर रहे मेहनत को छोड़कर

दुनिया 'वसीम' की है बहुत मुख़्तलिफ़ सुनो
हर काम है पसंद शिकायत को छोड़कर

  - Waseem Siddharthnagari

More by Waseem Siddharthnagari

As you were reading Shayari by Waseem Siddharthnagari

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Siddharthnagari

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari