tujhe jee bhar ke rona hai mujhe aansu chhupaana hai | तुझे जी भर के रोना है मुझे आँसू छुपाना है - Vikas Shah musafir

tujhe jee bhar ke rona hai mujhe aansu chhupaana hai
tujhe ghairon ka hona hai mera bas tu thikaana hai

abhi jokhim uthaana hai abhi aaghaaz hai mera
mujhe izzat kamaani hai mujhe paisa kamaana hai

mere walid pe karzaa tha meri taaleem ko lekar
usi lala ka ab mujhko to qarza bhi chukaana hai

use baagon se phoolon se bahaaron se mohabbat thi
suno jaanbaaz afsoon-gar use titli banaana hai

bhari mehfil mein ujda-pan sa lagta hai mujhe tum bin
hasi aati nahin phir bhi mujhe ab muskurana hai

suno jaanaan abhi mauqa hai aa jaao mere ghar mein
mujhe baatein bhi karne hain ye haal-e-dil sunaana hai

agar jhagda nahin karna to ye uljhan hata do ab
hamein apnon ko ab gussa nahin dheeraj dilaana hai

तुझे जी भर के रोना है मुझे आँसू छुपाना है
तुझे ग़ैरों का होना है मेरा बस तू ठिकाना है

अभी जोखिम उठाना है अभी आग़ाज़ है मेरा
मुझे इज़्ज़त कमानी है मुझे पैसा कमाना है

मेरे वालिद पे कर्ज़ा था मेरी तालीम को लेकर
उसी लाला का अब मुझको तो क़र्ज़ा भी चुकाना है

उसे बाग़ों से फूलों से बहारों से मोहब्बत थी
सुनो जाँबाज़ अफ़्सूँ-गर उसे तितली बनाना है

भरी महफ़िल में उजड़ा-पन सा लगता है मुझे तुम बिन
हँसी आती नहीं फिर भी मुझे अब मुस्कुराना है

सुनो जानाँ अभी मौक़ा है आ जाओ मेरे घर में
मुझे बातें भी करनी हैं ये हाल-ए-दिल सुनाना है

अगर झगड़ा नहीं करना तो ये उलझन हटा दो अब
हमें अपनों को अब ग़ुस्सा नहीं धीरज दिलाना है

- Vikas Shah musafir
0 Likes

Beqarari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Beqarari Shayari Shayari