khwaab jo ik dekha hai hamne vo poora hona bhi hai
ab usi ko sochkar ke jaagna bhi sona bhi hai
usko tumne pa liya hai par ye bhi tum yaad rakhna
jo bhi cheezen hain mayassar unko ik din khona bhi hai
bhai behnon mein ye khatte meethe jhagde hone dena
kal vidaai mein lipt karke unhen phir rona bhi hai
la chuka hoon main kai moti samandar mein utar kar
ab samandar mein kisi din doobkar ke khona bhi hai
tujhko paane kii khushi mein poora ghar muskaaya mera
tujhko khone se dukhi koii siskata kona bhi hai
ख़्वाब जो इक देखा है हमने वो पूरा होना भी है
अब उसी को सोचकर के जागना भी सोना भी है
उसको तुमने पा लिया है पर ये भी तुम याद रखना
जो भी चीज़ें हैं मयस्सर उनको इक दिन खोना भी है
भाई बहनों में ये खट्टे मीठे झगड़े होने देना
कल विदाई में लिपट करके उन्हें फिर रोना भी है
ला चुका हूँ मैं कई मोती समंदर में उतर कर
अब समंदर में किसी दिन डूबकर के खोना भी है
तुझको पाने की ख़ुशी में पूरा घर मुस्काया मेरा
तुझको खोने से दुखी कोई सिसकता कोना भी है
As you were reading Shayari by Yuvraj Singh Faujdar
our suggestion based on Yuvraj Singh Faujdar
As you were reading undefined Shayari