zindagi ko aaz main bhi zindagi kar leta hoon
bujh gaye har zakham ko main raushni kar leta hoon
sher achhe ya ghazal achhi mujhe likhni hai to
husn ko uske main uski saadgi kar leta hoon
is se pehle tera rishta ho kisi ghafil se tay
main gham-e-jaanaan ko apni zindagi kar leta hoon
aashiqi ya shayari hoti nahin ik saath to
aashiqi bhi chhodi socha shayari kar leta hoon
khudkushi tujh ko gumaan hai main gila karwaata hoon
khudkushi se khud mitaakar main khushi kar leta hoon
soch mat is badgumaani ko tu yogambar bahut
ho kahi man tera main bhi khudkushi kar leta hoon
ज़िंदगी को आज़ मैं भी ज़िंदगी कर लेता हूँ
बुझ गये हर ज़ख़्म को मैं रौशनी कर लेता हूँ
शेर अच्छे या ग़ज़ल अच्छी मुझे लिखनी है तो
हुस्न को उसके मैं उसकी सादगी कर लेता हूँ
इस से पहले तेरा रिश्ता हो किसी ग़ाफ़िल से तय
मैं ग़म-ए-जानाँ को अपनी ज़िंदगी कर लेता हूँ
आशिक़ी या शायरी होती नहीं इक साथ तो
आशिक़ी भी छोड़ी सोचा शायरी कर लेता हूँ
ख़ुदकुशी तुझ को गुमाँ है मैं गिला करवाता हूँ
ख़ुदकुशी से ख़ुद मिटाकर मैं ख़ुशी कर लेता हूँ
सोच मत इस बदगुमानी को तू 'योगम्बर' बहुत
हो कहीं मन तेरा मैं भी ख़ुदकुशी कर लेता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yogamber Agri
our suggestion based on Yogamber Agri
As you were reading Saadgi Shayari Shayari