tu bhi gar bewafaai kar jaaye | तू भी गर बेवफ़ाई कर जाए - ZARKHEZ

tu bhi gar bewafaai kar jaaye
to mera qarz hi utar jaaye

khudkushi kii sahoolatein tab hain
jab koii haadsa guzar jaaye

zindagi ek shaahzaadi hai
shaahzaadi ka dil na bhar jaaye

main agar zabt karne par aaun
tishnagi tishnagi se mar jaaye

vasl us kaifiyat mein laazim hai
jab havas ka nasha utar jaaye

ya ubhar aaye aaj vo soorat
ya mere haath se hunar jaaye

phir kisi husn kii inaayat ho
phir koii saanehaa guzar jaaye

hasraton se chhalk raha hai dil
koii ye jaam khaali kar jaaye

तू भी गर बेवफ़ाई कर जाए
तो मेरा क़र्ज़ ही उतर जाए

ख़ुदकुशी की सहूलतें तब हैं
जब कोई हादसा गुज़र जाए

ज़िन्दगी एक शाहज़ादी है
शाहज़ादी का दिल न भर जाए

मैं अगर ज़ब्त करने पर आऊँ
तिश्नगी तिश्नगी से मर जाए

वस्ल उस कैफ़ियत में लाज़िम है
जब हवस का नशा उतर जाए

या उभर आए आज वो सूरत
या मेरे हाथ से हुनर जाए

फिर किसी हुस्न की इनायत हो
फिर कोई सानेहा गुज़र जाए

हसरतों से छलक रहा है दिल
कोई ये जाम ख़ाली कर जाए

- ZARKHEZ
5 Likes

More by ZARKHEZ

As you were reading Shayari by ZARKHEZ

Similar Writers

our suggestion based on ZARKHEZ

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari