but-taraash
tumhaare dil ne hamesha mujhse shikaayaten kii
ki mere seene mein dil nahin hai
jo dooriyaan jaan-gusil nahin hain
main chahta hoon
kabhi tum apni shikaayaton ke tamaam khanjar
mere badan mein shareek kar ke
bade bade se suraakh kar do
aur un mein dekho
mujhe yaqeen hai
tumhein wahan ik
haya taqalluf jhijhak ka maara
rivaaj-o-rasm-e-jahan ka qaaidi
milega jo khud
shadeed furqat ke pattharon par
tumhaari soorat nikhaarta hai
tumhaare but ko taraashta hai
"बुत-तराश"
तुम्हारे दिल ने हमेशा मुझसे शिकायतें की
कि मेरे सीने में दिल नहीं है
जो दूरियाँ जाँ-गुसिल नहीं हैं
मैं चाहता हूँ
कभी तुम अपनी शिकायतों के तमाम ख़ंजर
मेरे बदन में शरीक कर के
बड़े बड़े से सुराख कर दो
और उन में देखो
मुझे यक़ीं है
तुम्हें वहाँ इक
हया तक़ल्लुफ़ झिझक का मारा
रिवाज-ओ-रस्म-ए-जहाँ का क़ैदी
मिलेगा जो ख़ुद
शदीद फ़ुर्क़त के पत्थरों पर
तुम्हारी सूरत निखारता है
तुम्हारे बुत को तराशता है
As you were reading Shayari by ZARKHEZ
our suggestion based on ZARKHEZ
As you were reading undefined Shayari