lagta mujhe dar neend jo aaye aise khwaab the | लगता मुझे डर नींद जो आये, ऐसे ख़्वाब थे

  - Zain Aalamgir

lagta mujhe dar neend jo aaye aise khwaab the
raatein sabhi ro ban samandar jaaye aise khwaab the

sapne dikhe pakwaan ke bacche sabhi maa se kahe
sapne sabhi se dar na vo so paaye aise khwaab the

dekhe fati kambal sadak par odh muflis ko tabhi
baadal barsne ko bahut katraaye aise khwaab the

haalaat mein gumsum kahi khaamosh dinbhar vo rahe
vehshat use darpan se vo ghabraaye aise khwaab the

hai vo ajab ke sab theharte hi nahin ghar mein kabhi
veeraaniyat dil ke makaane laaye aise khwaab the

chahe mera dil ab khushi usko talashe fir kahaan
ashqon se jo raahen sabhi dhul jaaye aise khwaab the

kashti hawaon se ladi taiyaar thi har jang ko
par kya pata paani dagaa de jaaye aise khwaab the

kyun ped ab tum yaad rakhte hi nahin jo shaakh par
patte sabhi ta-umr jo tarsaaye aise khwaab the

main yaar ko aawaaz doon vo yaar murkar dekh le
neenden khule jaise mukar hi jaaye aise khwaab the

jeete kabhi the ham firaqe-khush-gawaari ab nahin
ab jo mile na gham mujhe mar jaaye aise khwaab the

dikhta nasebe-zain kaisa sochkar dekhoon agar
ke mail haathon ki lakeeren khaaye aise khwaab the

लगता मुझे डर नींद जो आये, ऐसे ख़्वाब थे
रातें सभी रो बन समंदर जाये, ऐसे ख़्वाब थे

सपने दिखे पकवान के, बच्चे सभी माँ से कहे
सपने सभी से डर, न वो सो पाये, ऐसे ख़्वाब थे

देखे फटी कम्बल सडक पर ओढ़ मुफलिस को तभी
बादल बरसने को बहुत कतराये, ऐसे ख़्वाब थे

हालात में गुमसुम कहीं, ख़ामोश दिनभर वो रहे
वहशत उसे दर्पण से, वो घबराये, ऐसे ख़्वाब थे

है वो अजब के सब ठहरते ही नहीं घर में कभी
वीरानियत दिल के मकाने लाये, ऐसे ख़्वाब थे

चाहे मिरा दिल अब ख़ुशी, उसको तलाशे फ़िर कहाँ
अश्क़ों से जो राहें सभी धुल जाये, ऐसे ख़्वाब थे

कश्ती हवाओं से लड़ी, तैयार थी हर जंग को
पर क्या पता पानी दग़ा दे जाये, ऐसे ख़्वाब थे

क्यूँ पेड़ अब तुम याद रखते ही नहीं जो शाख़ पर
पत्ते सभी ता-उम्र जो तरसाये, ऐसे ख़्वाब थे

मैं यार को आवाज़ दूँ, वो यार मुड़कर देख ले
नींदें खुले जैसे मुकर ही जाये, ऐसे ख़्वाब थे

जीते कभी थे हम फिराक़े-ख़ुश-गवारी, अब नहीं
अब जो मिले ना ग़म मुझे, मर जाये, ऐसे ख़्वाब थे

दिखता नसीबे-'ज़ैन' कैसा, सोचकर देखूँ अगर
के मैल हाथों की लकीरें खाये, ऐसे ख़्वाब थे

  - Zain Aalamgir

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zain Aalamgir

As you were reading Shayari by Zain Aalamgir

Similar Writers

our suggestion based on Zain Aalamgir

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari