aag ke sholay utaaro halk mein | आग के शो'ले उतारो हल्क़ में

  - Aabid Adeeb

aag ke sholay utaaro halk mein
gaar do keelen dhadkati chaatiyon mein
daal do gardan mein fande rassiyon ke
qatl kar lo khoon ki nadiyaan baha lo
ho nihtta koi to goli chala lo
phir bhi ho koi kasar to poori kar lo
jeet ka elaan kar do
phir bhi tum darte rahoge
aur har yug mein tumhaari haar hi hoti rahegi
phir bhi tum chehre badal kar har zamaane mein rahoge
aur sadiyon tak
yahi ik silsila chalta rahega

आग के शो'ले उतारो हल्क़ में
गाड़ दो कीलें धड़कती छातियों में
डाल दो गर्दन में फंदे रस्सियों के
क़त्ल कर लो ख़ून की नदियाँ बहा लो
हो निहत्ता कोई तो गोली चला लो
फिर भी हो कोई कसर तो पूरी कर लो
जीत का एलान कर दो
फिर भी तुम डरते रहोगे
और हर युग में तुम्हारी हार ही होती रहेगी
फिर भी तुम चेहरे बदल कर हर ज़माने में रहोगे
और सदियों तक
यही इक सिलसिला चलता रहेगा

  - Aabid Adeeb

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Aabid Adeeb

As you were reading Shayari by Aabid Adeeb

Similar Writers

our suggestion based on Aabid Adeeb

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari