koi mere larzate haath mein
kaaghaz ka purza aur qalam pakda raha tha
kabhi kuchh zer-e-lab hi badbadraa kar
koi isbaat mein
aankhon ki aur maathe ki jumbish chahta tha
kabhi daanton mein honton ko daba kar
koi rone ki koshish kar raha tha
koi to chand lamhon ba'ad apne
baal bikhraane garebaan noche ki fikr mein tha
koi gamgeen chehra aur siyaah malboos mein
behad haseen ma'aloom deta tha
mere ajdaad ke naamon ko ganwa kar
koi mujh se ta'alluq jodta tha
sabhi nazdeek the mere
udhar bhaai bhatije the
udhar bahnen theen bhaanje the
phir un ke ba'ad
rishte jodne waale saf-aara the
ye lagta tha ki kuchh hi der mein
maatam bapaa hoga
main un baaton se
bistar par pada
aankhon ko thodi si khuli rakh kar
bade dilchasp mood mein tha
sabhi ghamgeen the lekin
tamannaayein theen aankhon mein
yakaayak main ne karvat li
aur aankhen khol kar uthne ki koshish ki
to dekha
sabhi ke lab pe masnooi hasi thi
chamak aankhon se ghaaeb thi
कोई मेरे लरज़ते हाथ में
काग़ज़ का पुर्ज़ा और क़लम पकड़ा रहा था
कभी कुछ ज़ेर-ए-लब ही बड़बड़ा कर
कोई इसबात में
आँखों की और माथे की जुम्बिश चाहता था
कभी दाँतों में होंटों को दबा कर
कोई रोने की कोशिश कर रहा था
कोई तो चंद लम्हों बा'द अपने
बाल बिखराने गरेबाँ नोचने की फ़िक्र में था
कोई ग़मगीं चेहरा और सियाह मल्बूस में
बेहद हसीं मा'लूम देता था
मेरे अज्दाद के नामों को गँवा कर
कोई मुझ से तअ'ल्लुक़ जोड़ता था
सभी नज़दीक थे मेरे
उधर भाई भतीजे थे
उधर बहनें थीं भांजे थे
फिर उन के बा'द
रिश्ते जोड़ने वाले सफ़-आरा थे
ये लगता था कि कुछ ही देर में
मातम बपा होगा
मैं उन बातों से
बिस्तर पर पड़ा
आँखों को थोड़ी सी खुली रख कर
बड़े दिलचस्प मूड में था
सभी ग़मगीन थे लेकिन
तमन्नाएँ थीं आँखों में
यकायक मैं ने करवट ली
और आँखें खोल कर उठने की कोशिश की
तो देखा
सभी के लब पे मसनूई हँसी थी
चमक आँखों से ग़ाएब थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aabid Adeeb
our suggestion based on Aabid Adeeb
As you were reading Lab Shayari Shayari