zindagi tujh se mulaqaat pe ro dete hain
phir tere hi diye haalaat pe ro dete hain
khud sitam dhaa ke vo ye roz kaha karte the
aap to chhoti si har baat pe ro dete hain
ye zaroori nahin ke bas khushi ka manzar ho
hai kai log jo barsaat pe ro dete hain
bhookh paani se mita kar bhi na poori ho to
baap phir bacchon ki haajaat pe ro dete hain
der tanhaai ke baad os ki boonde aadil
dekh lagta hai ke din raat pe ro dete hain
जिंदगी तुझ से मुलाक़ात पे रो देते हैं
फिर तेरे ही दिए हालात पे रो देते हैं
ख़ुद सितम ढा के वो ये रोज़ कहा करते थे
आप तो छोटी सी हर बात पे रो देते हैं
ये ज़रूरी नहीं के बस ख़ुशी का मंज़र हो
है कई लोग, जो बरसात पे रो देते हैं
भूख पानी से मिटा कर, भी न पूरी हो तो
बाप फिर बच्चों की हाजात पे रो देते हैं
देर तन्हाई के बाद ओस की बूँदे 'आदिल'
देख लगता है के दिन रात पे रो देते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aadil Sulaiman
our suggestion based on Aadil Sulaiman
As you were reading Baarish Shayari Shayari