jin baaton ko kehna mushkil hota hai
un baaton ko sahna mushkil hota hai
is duniya mein rah kar ham ne ye jaana
is duniya mein rahna mushkil hota hai
jis dhaara mein bahna sab se aasaan ho
us dhaara mein bahna mushkil hota hai
us ke saath hamein aasaani hai kitni
us se ye bhi kehna mushkil hota hai
us ke taane us ke taane hote hain
mushkil se bhi sahna mushkil hota hai
vo sab baatein jo tum akshar kahti ho
un baaton ka sahna mushkil hota hai
vo baatein jo kehne mein aasaan lagen
un baaton ka kehna mushkil hota hai
maazi ki yaadein bhi aisa suraj hain
jis suraj ka gehna mushkil hota hai
main apni duniya ka aisa suraj hoon
jis suraj ka gehna mushkil hota hai
lagti hai ye bahar bahut aasaan magar
is mein ghazlein kehna mushkil hota hai
जिन बातों को कहना मुश्किल होता है
उन बातों को सहना मुश्किल होता है
इस दुनिया में रह कर हम ने ये जाना
इस दुनिया में रहना मुश्किल होता है
जिस धारा में बहना सब से आसाँ हो
उस धारा में बहना मुश्किल होता है
उस के साथ हमें आसानी है कितनी
उस से ये भी कहना मुश्किल होता है
उस के ताने उस के ता'ने होते हैं
मुश्किल से भी सहना मुश्किल होता है
वो सब बातें जो तुम अक्सर कहती हो
उन बातों का सहना मुश्किल होता है
वो बातें जो कहने में आसान लगें
उन बातों का कहना मुश्किल होता है
माज़ी की यादें भी ऐसा सूरज हैं
जिस सूरज का गहना मुश्किल होता है
मैं अपनी दुनिया का ऐसा सूरज हूँ
जिस सूरज का गहना मुश्किल होता है
लगती है ये बहर बहुत आसान मगर
इस में ग़ज़लें कहना मुश्किल होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav
our suggestion based on Aalok Shrivastav
As you were reading Duniya Shayari Shayari