theek hua jo bik gaye sainik mutthi bhar deenaaron mein | ठीक हुआ जो बिक गए सैनिक मुट्ठी भर दीनारों में

  - Aalok Shrivastav

theek hua jo bik gaye sainik mutthi bhar deenaaron mein
vaise bhi to zang laga tha pushtaini hathiyaaron mein

sard nason mein chalte chalte garm lahu jab barf hua
chaar padosi jism utha kar jhonk aaye angaaron mein

kheton ko mutthi mein bharna ab tak seekh nahin paaya
yun to mera jeevan beeta saamanti ayyaaron mein

kaise us ke chaal-chalan mein angrezee andaaz na ho
aakhir us ne saansen leen hain pachhim ke darbaaron mein

nazdeeki akshar doori ka kaaran bhi ban jaati hai
soch-samajh kar ghulna-milna apne rishte-daaron mein

chaand agar poora chamke to us ke daagh khatkate hain
ek na ek buraai tay hai saare izzat-daaron mein

ठीक हुआ जो बिक गए सैनिक मुट्ठी भर दीनारों में
वैसे भी तो ज़ंग लगा था पुश्तैनी हथियारों में

सर्द नसों में चलते चलते गर्म लहू जब बर्फ़ हुआ
चार पड़ोसी जिस्म उठा कर झोंक आए अँगारों में

खेतों को मुट्ठी में भरना अब तक सीख नहीं पाया
यूँ तो मेरा जीवन बीता सामंती अय्यारों में

कैसे उस के चाल-चलन में अंग्रेज़ी अंदाज़ न हो
आख़िर उस ने साँसें लीं हैं पच्छिम के दरबारों में

नज़दीकी अक्सर दूरी का कारन भी बन जाती है
सोच-समझ कर घुलना-मिलना अपने रिश्ते-दारों में

चाँद अगर पूरा चमके तो उस के दाग़ खटकते हैं
एक न एक बुराई तय है सारे इज़्ज़त-दारों में

  - Aalok Shrivastav

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aalok Shrivastav

As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav

Similar Writers

our suggestion based on Aalok Shrivastav

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari