manzil pe dhyaan ham ne zara bhi agar diya
aakaash ne dagar ko ujaalon se bhar diya
rukne ki bhool haar ka kaaran na ban saki
chalne ki dhun ne raah ko aasaan kar diya
paani ke bulbulon ka safar jaante hue
tohfe mein dil na dena tha ham ne magar diya
peepal ki chaanv bujh gai taalaab sad gaye
kis ne ye mere gaav pe ehsaan kar diya
ghar khet gaaye bail raqam ab kahaan rahe
jo kuchh tha sab nikaal ke faslon mein bhar diya
mandi ne loot leen jawaan-fasle kisaan ki
qarze ne khud-kushi ki taraf dhyaan kar diya
मंज़िल पे ध्यान हम ने ज़रा भी अगर दिया
आकाश ने डगर को उजालों से भर दिया
रुकने की भूल हार का कारन न बन सकी
चलने की धुन ने राह को आसान कर दिया
पानी के बुलबुलों का सफ़र जानते हुए
तोहफ़े में दिल न देना था हम ने मगर दिया
पीपल की छाँव बुझ गई तालाब सड़ गए
किस ने ये मेरे गाँव पे एहसान कर दिया
घर खेत गाए बैल रक़म अब कहाँ रहे
जो कुछ था सब निकाल के फ़स्लों में भर दिया
मंडी ने लूट लीं जवाँ-फ़स्लें किसान की
क़र्ज़े ने ख़ुद-कुशी की तरफ़ ध्यान कर दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav
our suggestion based on Aalok Shrivastav
As you were reading Justaju Shayari Shayari