mujhe sire se pakad kar udhed deti hai
main ek jhooth vo sacche suboot jaisi hai
main roz roz tabassum mein chhupta firta hoon
udaasi hai ki mujhe roz dhoondh leti hai
zaroor kuchh to banaayegi zindagi mujh ko
qadam qadam pe mera imtihaan leti hai
jo ek phool khila hai sehar ki palkon par
tumhaare jism ki khushboo usi ke jaisi hai
vo raushni jo sitaaron ka khaas zewar hai
ameek aankhon mein akshar dikhaai deti hai
मुझे सिरे से पकड़ कर उधेड़ देती है
मैं एक झूट वो सच्चे सुबूत जैसी है
मैं रोज़ रोज़ तबस्सुम में छुपता फिरता हूँ
उदासी है कि मुझे रोज़ ढूँढ लेती है
ज़रूर कुछ तो बनाएगी ज़िंदगी मुझ को
क़दम क़दम पे मिरा इम्तिहान लेती है
जो एक फूल खिला है सहर की पलकों पर
तुम्हारे जिस्म की ख़ुशबू उसी के जैसी है
वो रौशनी जो सितारों का ख़ास ज़ेवर है
अमीक़ आँखों में अक्सर दिखाई देती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav
our suggestion based on Aalok Shrivastav
As you were reading Mayoosi Shayari Shayari