wahi aangan wahi khidki wahi dar yaad aata hai | वही आँगन वही खिड़की वही दर याद आता है - Aalok Shrivastav

wahi aangan wahi khidki wahi dar yaad aata hai
akela jab bhi hota hoon mujhe ghar yaad aata hai

meri be-saakhta hichki mujhe khul kar bataati hai
tire apnon ko gaav mein to akshar yaad aata hai

jo apne paas hon un ki koi qeemat nahin hoti
hamaare bhaai ko hi lo bichhad kar yaad aata hai

safalta ke safar mein to kahaan furqat ki kuch sochen
magar jab chot lagti hai muqaddar yaad aata hai

maii aur june ki garmi badan se jab tapakti hai
november yaad aata hai december yaad aata hai

वही आँगन वही खिड़की वही दर याद आता है
अकेला जब भी होता हूँ मुझे घर याद आता है

मिरी बे-साख़्ता हिचकी मुझे खुल कर बताती है
तिरे अपनों को गाँव में तो अक्सर याद आता है

जो अपने पास हों उन की कोई क़ीमत नहीं होती
हमारे भाई को ही लो बिछड़ कर याद आता है

सफलता के सफ़र में तो कहाँ फ़ुर्सत कि कुछ सोचें
मगर जब चोट लगती है मुक़द्दर याद आता है

मई और जून की गर्मी बदन से जब टपकती है
नवम्बर याद आता है दिसम्बर याद आता है

- Aalok Shrivastav
8 Likes

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aalok Shrivastav

As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav

Similar Writers

our suggestion based on Aalok Shrivastav

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari