ye sochna galat hai ki tum par nazar nahin
masroof ham bahut hain magar be-khabar nahin
ab to khud apne khoon ne bhi saaf kah diya
main aap ka rahoonga magar umr bhar nahin
aa hi gaye hain khwaab to phir jaayenge kahaan
aankhon se aage un ki koi raahguzaar nahin
kitna jiein kahaan se jiein aur kis liye
ye ikhtiyaar ham pe hai taqdeer par nahin
maazi ki raakh ulteen to chingaariyaan miliin
be-shak kisi ko chaaho magar is qadar nahin
ये सोचना ग़लत है कि तुम पर नज़र नहीं
मसरूफ़ हम बहुत हैं मगर बे-ख़बर नहीं
अब तो ख़ुद अपने ख़ून ने भी साफ़ कह दिया
मैं आप का रहूँगा मगर उम्र भर नहीं
आ ही गए हैं ख़्वाब तो फिर जाएँगे कहाँ
आँखों से आगे उन की कोई रहगुज़र नहीं
कितना जिएँ कहाँ से जिएँ और किस लिए
ये इख़्तियार हम पे है तक़दीर पर नहीं
माज़ी की राख उलटीं तो चिंगारियाँ मिलीं
बे-शक किसी को चाहो मगर इस क़दर नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav
our suggestion based on Aalok Shrivastav
As you were reading Nazar Shayari Shayari