dhadakte saans lete rukte chalte main ne dekha hai | धड़कते साँस लेते रुकते चलते मैं ने देखा है

  - Aalok Shrivastav

dhadakte saans lete rukte chalte main ne dekha hai
koi to hai jise apne mein palte main ne dekha hai

tumhaare khoon se meri ragon mein khwaab raushan hai
tumhaari aadaton mein khud ko dhalti main ne dekha hai

na jaane kaun hai jo khwaab mein awaaz deta hai
khud apne-aap ko neendon mein chalte main ne dekha hai

meri khaamoshiyon mein tairti hain teri aawaazen
tire seene mein apna dil machalte main ne dekha hai

badal jaayega sab kuchh baadlon se dhoop chatkhegi
bujhi aankhon mein koi khwaab jalte main ne dekha hai

mujhe maaloom hai un ki duaaein saath chalti hain
safar ki mushkilon ko haath malte main ne dekha hai

धड़कते साँस लेते रुकते चलते मैं ने देखा है
कोई तो है जिसे अपने में पलते मैं ने देखा है

तुम्हारे ख़ून से मेरी रगों में ख़्वाब रौशन है
तुम्हारी आदतों में ख़ुद को ढलते मैं ने देखा है

न जाने कौन है जो ख़्वाब में आवाज़ देता है
ख़ुद अपने-आप को नींदों में चलते मैं ने देखा है

मेरी ख़ामोशियों में तैरती हैं तेरी आवाज़ें
तिरे सीने में अपना दिल मचलते मैं ने देखा है

बदल जाएगा सब कुछ बादलों से धूप चटख़ेगी
बुझी आँखों में कोई ख़्वाब जलते मैं ने देखा है

मुझे मालूम है उन की दुआएँ साथ चलती हैं
सफ़र की मुश्किलों को हाथ मलते मैं ने देखा है

  - Aalok Shrivastav

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aalok Shrivastav

As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav

Similar Writers

our suggestion based on Aalok Shrivastav

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari