jhilmilaate hue din-raat hamaare le kar | झिलमिलाते हुए दिन-रात हमारे ले कर

  - Aalok Shrivastav

jhilmilaate hue din-raat hamaare le kar
kaun aaya hai hatheli pe sitaare le kar

ham use aankhon ki dehri nahin chadhne dete
neend aati na agar khwaab tumhaare le kar

raat laai hai sitaaron se saji qindeelain
sar-nigoon din hai dhanak waale nazaare le kar

ek ummeed badi door talak jaati hai
teri awaaz ke khaamosh ishaare le kar

raat shabnam se bhigo deti hai chehra chehra
din chala aata hai aankhon mein sharaare le kar

ek din us ne mujhe paak nazar se chooma
umr-bhar chalna pada mujh ko sahaare le kar

झिलमिलाते हुए दिन-रात हमारे ले कर
कौन आया है हथेली पे सितारे ले कर

हम उसे आँखों की देहरी नहीं चढ़ने देते
नींद आती न अगर ख़्वाब तुम्हारे ले कर

रात लाई है सितारों से सजी क़िंदीलें
सर-निगूँ दिन है धनक वाले नज़ारे ले कर

एक उम्मीद बड़ी दूर तलक जाती है
तेरी आवाज़ के ख़ामोश इशारे ले कर

रात शबनम से भिगो देती है चेहरा चेहरा
दिन चला आता है आँखों में शरारे ले कर

एक दिन उस ने मुझे पाक नज़र से चूमा
उम्र-भर चलना पड़ा मुझ को सहारे ले कर

  - Aalok Shrivastav

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aalok Shrivastav

As you were reading Shayari by Aalok Shrivastav

Similar Writers

our suggestion based on Aalok Shrivastav

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari