zameen par gar kisi ne chaand aur taara nahin dekha | ज़मीं पर गर किसी ने चाँद और तारा नहीं देखा

  - Aatish Alok

zameen par gar kisi ne chaand aur taara nahin dekha
to usne bhi tiri bindiya tira ghazra nahin dekha

tire hi chehre ko dekhne ki jidd ise kya hai
bahut hi khoob hai duniya magar duniya nahi dekha

waqt ka paaband tha jo bahut tere ishq mein vo
ik arse se ghadi ka hai magar kaanta nahi dekha

chidhaaten hai sabhi ke id paakar tira laik
mere post pe to tumne kaha achha nahi dekha

nagar mein hai pakaata adhpaki vo rotiyaan saari
ki ghar ka laadla tha vo kabhi choolha nahi dekha

adab bhi ho ana bhi ho,नही mumkin jo kahten hain
abhi usne hai aatish naam ka ladka nahi dekha

ज़मीं पर गर किसी ने चाँद और तारा नहीं देखा
तो उसने भी तिरी बिंदिया तिरा ग़ज़रा नहीं देखा

तिरे ही चेहरे को देखने की जिद्द इसे क्या है
बहुत ही खूब है दुनिया मगर दुनिया नही देखा

वक़्त का पाबन्द था जो बहुत, तेरे इश्क़ में वो
इक अरसे से घड़ी का है मगर कांटा नही देखा

चिढातें है सभी के आइडी पाकर तिरा लाइक
मिरे पोस्ट पे तो तुमने कहा 'अच्छा नही देखा

नगर में है पकाता अधपकी वो रोटियां सारी
कि घर का लाडला था वो कभी चूल्हा नही देखा

अदब भी हो ,अना भी हो,नही मुमकिन जो कहतें हैं
अभी उसने है आतिश नाम का लड़का नही देखा

  - Aatish Alok

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Alok

As you were reading Shayari by Aatish Alok

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Alok

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari