haan kabhi ki nahin jaanaan ne adhar mein rakha | हाँ कभी की नहीं जानाँ ने अधर में रक्खा

  - Aatish Indori

haan kabhi ki nahin jaanaan ne adhar mein rakha
umr bhar mujhko muhabbat ke safar mein rakha

usne heero ko meri raah-guzar mein rakha
isliye khud ko sada maine safar mein rakha

dil mein haalaanki jagah de nahin paai lekin
umr bhar usne mujhe apni nazar mein rakha

umr bhar ban ke kisi aur ki rahi mankooha
umr bhar usne kisi aur ko ghar mein rakha

हाँ कभी की नहीं जानाँ ने अधर में रक्खा
उम्र भर मुझको मुहब्बत के सफ़र में रक्खा

उसने हीरों को मेरी राह-गुज़र में रक्खा
इसलिए ख़ुद को सदा मैंने सफ़र में रक्खा

दिल में हालाँकि जगह दे नहीं पाई लेकिन
उम्र भर उसने मुझे अपनी नज़र में रक्खा

उम्र भर बन के किसी और की रही मनकूहा
उम्र भर उसने किसी और को घर में रक्खा

  - Aatish Indori

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari