maa ke rahne se hi patthar pe asar hota hai
jhopdi ho ya qila tab kahi ghar hota hai
tarabtar koi duaon se agar hota hai
har kisi ke liye vo shakhs shajar hota hai
tabsira phool nahin karta kabhi khushboo ka
ishq ailaan nahin karta agar hota hai
gul khila hota to phir waah nikalna tay thi
waah to milti hi hai sher agar hota hai
माँ के रहने से ही पत्थर पे असर होता है
झोपड़ी हो या क़िला तब कहीं घर होता है
तरबतर कोई दुआओं से अगर होता है
हर किसी के लिये वो शख़्स शजर होता है
तब्सिरा फूल नहीं करता कभी ख़ुश्बू का
इश्क़ ऐलान नहीं करता अगर होता है
गुल खिला होता तो फिर वाह निकलना तय थी
वाह तो मिलती ही है शेर अगर होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Nature Shayari Shayari