hamaari zindagi kuchh aise yaar guzri hai
ke jaise aah mein chupke pukaar guzri hai
abhi abhi to badan ka shabaab utara hai
abhi abhi to chaman se bahaar guzri hai
tumhaari mast nigaahi ki har ada qaateel
hamaare dil ke sanam aar paar guzri hai
tumhaari dooriyaan khalti raheen hamein pal pal
tumhaare saath shab-e-intizaar guzri hai
humeen ne shaad ki ye zindagi khalaon se
humeen ko jaan ae jaan ye na-gawaar guzri hai
har ek khwaab mera adhpaka raha yaaro
har ek chaah meri beqaraar guzri hai
hamaare zakham kabhi bhar na paayenge aazee
hamaare jism se aisi kataar guzri hai
हमारी ज़िंदगी कुछ ऐसे यार गुज़री है
के जैसे आह में छुपके पुकार गुज़री है
अभी अभी तो बदन का शबाब उतरा है
अभी अभी तो चमन से बहार गुज़री है
तुम्हारी मस्त निगाही की हर अदा क़ातिल
हमारे दिल के सनम आर पार गुज़री है
तुम्हारी दूरियाँ खलती रहीं हमें पल पल
तुम्हारे साथ शब-ए-इंतिज़ार गुज़री है
हमीं ने शाद की ये ज़िंदगी ख़लाओं से
हमीं को जान ए जाँ ये ना-गवार गुज़री है
हर एक ख़्वाब मिरा अधपका रहा यारो
हर एक चाह मिरी बेक़रार गुज़री है
हमारे ज़ख़्म कभी भर न पाएँगे आज़ी
हमारे जिस्म से ऐसी कटार गुज़री है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajeetendra Aazi Tamaam
our suggestion based on Ajeetendra Aazi Tamaam
As you were reading Afsos Shayari Shayari