hans ke bola karo bulaaya karo | हँस के बोला करो बुलाया करो - Abdul Hamid Adam

hans ke bola karo bulaaya karo
aap ka ghar hai aaya jaaya karo

muskuraahat hai husn ka zewar
muskurana na bhool jaaya karo

had se badh kar haseen lagte ho
jhooti qasmen zaroor khaaya karo

taaki duniya ki dilkashi na ghate
nit-naye pairhan mein aaya karo

kitne saada-mizaaj ho tum adam
us gali mein bahut na jaaya karo

हँस के बोला करो बुलाया करो
आप का घर है आया जाया करो

मुस्कुराहट है हुस्न का ज़ेवर
मुस्कुराना न भूल जाया करो

हद से बढ़ कर हसीन लगते हो
झूटी क़स्में ज़रूर खाया करो

ताकि दुनिया की दिलकशी न घटे
नित-नए पैरहन में आया करो

कितने सादा-मिज़ाज हो तुम 'अदम'
उस गली में बहुत न जाया करो

- Abdul Hamid Adam
14 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abdul Hamid Adam

As you were reading Shayari by Abdul Hamid Adam

Similar Writers

our suggestion based on Abdul Hamid Adam

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari