hans hans ke jaam jaam ko chhalaka ke pee gaya | हँस हँस के जाम जाम को छलका के पी गया - Abdul Hamid Adam

hans hans ke jaam jaam ko chhalaka ke pee gaya
vo khud pila rahe the main lahara ke pee gaya

tauba ke tootne ka bhi kuch kuch malaal tha
tham tham ke soch soch ke sharma ke pee gaya

saaghar-b-dast baithi rahi meri aarzoo
saaqi shafaq se jaam ko takra ke pee gaya

vo dushmanon ke tanj ko thukra ke pee gaye
main doston ke ghaiz ko bharka ke pee gaya

sadhaa mutaalibaat ke ba'ad ek jaam-e-talkh
duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pee gaya

sau baar lagzishon ki qasam kha ke chhod di
sau baar chhodne ki qasam kha ke pee gaya

peeta kahaan tha subh-e-azl main bhala adam
saaqi ke e'tibaar pe lahara ke pee gaya

हँस हँस के जाम जाम को छलका के पी गया
वो ख़ुद पिला रहे थे मैं लहरा के पी गया

तौबा के टूटने का भी कुछ कुछ मलाल था
थम थम के सोच सोच के शर्मा के पी गया

साग़र-ब-दस्त बैठी रही मेरी आरज़ू
साक़ी शफ़क़ से जाम को टकरा के पी गया

वो दुश्मनों के तंज़ को ठुकरा के पी गए
मैं दोस्तों के ग़ैज़ को भड़का के पी गया

सदहा मुतालिबात के बा'द एक जाम-ए-तल्ख़
दुनिया-ए-जब्र-ओ-सब्र को धड़का के पी गया

सौ बार लग़्ज़िशों की क़सम खा के छोड़ दी
सौ बार छोड़ने की क़सम खा के पी गया

पीता कहाँ था सुब्ह-ए-अज़ल मैं भला 'अदम'
साक़ी के ए'तिबार पे लहरा के पी गया

- Abdul Hamid Adam
5 Likes

Tanz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abdul Hamid Adam

As you were reading Shayari by Abdul Hamid Adam

Similar Writers

our suggestion based on Abdul Hamid Adam

Similar Moods

As you were reading Tanz Shayari Shayari