go tiri zulfon ka zindaani hoon main
bhool mat jaana ki sailaani hoon main
zindagi ki qaid koi qaid hai
sookhte taalaab ka paani hoon main
chaandni raaton mein yaaron ke baghair
chaandni raaton ki veeraani hoon main
jis qadar maujood hoon mafaqood hoon
jis qadar ghaaeb hoon laafaani hoon main
mujh ko tanhaai mein sunna baith kar
mutarib-e-lamhaat-e-vajdaani hoon main
jis qadar karta hoon andesha adam
us qadar tasveer-e-hairaani hoon main
aql se kya kaam mujh naacheez ka
ek ma'amooli si nadaani hoon main
hoon agar to hoon bhi kya is ke siva
qeemti virse ki arzaani hoon main
dil ki dhadkan badhti jaati hai adam
kis haseen ke zer-e-nigaraani hoon main
गो तिरी ज़ुल्फ़ों का ज़िंदानी हूँ मैं
भूल मत जाना कि सैलानी हूँ मैं
ज़िंदगी की क़ैद कोई क़ैद है
सूखते तालाब का पानी हूँ मैं
चाँदनी रातों में यारों के बग़ैर
चाँदनी रातों की वीरानी हूँ मैं
जिस क़दर मौजूद हूँ मफ़क़ूद हूँ
जिस क़दर ग़ाएब हूँ लाफ़ानी हूँ मैं
मुझ को तन्हाई में सुनना बैठ कर
मुतरिब-ए-लम्हात-ए-वजदानी हूँ मैं
जिस क़दर करता हूँ अंदेशा 'अदम'
उस क़दर तस्वीर-ए-हैरानी हूँ मैं
अक़्ल से क्या काम मुझ नाचीज़ का
एक मा'मूली सी नादानी हूँ मैं
हूँ अगर तो हूँ भी क्या इस के सिवा
क़ीमती विर्से की अर्ज़ानी हूँ मैं
दिल की धड़कन बढ़ती जाती है 'अदम'
किस हसीं के ज़ेर-ए-निगरानी हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abdul Hamid Adam
our suggestion based on Abdul Hamid Adam
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari