dar-e-khayaal bhi khole siyaah shab bhi karein
phir us ke baad tujhe sochen ye gazab bhi karein
vo jis ne shaam ke maathe pe haath fera hai
ham us charagh-e-hawa-saaz ka adab bhi karein
siyahiyaan si bikharna lagi hain seene mein
ab us sitaara-e-shab-taab ki talab bhi karein
ye imtiyaaz zaroori hai ab ibadat mein
wahi dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karein
ki jaise khwaab dikhaana tasalliyaan dena
kuchh ek kaam mohabbat mein be-sabab bhi karein
main jaanta hoon ki taabeer hi nahin mumkin
vo mere khwaab ki tashreeh chahe jab bhi karein
shikast-e-khwaab ki manzil bhi kab nayi hai hamein
wahi jo karte chale aayein hain so ab bhi karein
दर-ए-ख़याल भी खोलें सियाह शब भी करें
फिर उस के बाद तुझे सोचें ये ग़ज़ब भी करें
वो जिस ने शाम के माथे पे हाथ फेरा है
हम उस चराग़-ए-हवा-साज़ का अदब भी करें
सियाहियाँ सी बिखरने लगी हैं सीने में
अब उस सितारा-ए-शब-ताब की तलब भी करें
ये इम्तियाज़ ज़रूरी है अब इबादत में
वही दुआ जो नज़र कर रही है लब भी करें
कि जैसे ख़्वाब दिखाना तसल्लियाँ देना
कुछ एक काम मोहब्बत में बे-सबब भी करें
मैं जानता हूँ कि ताबीर ही नहीं मुमकिन
वो मेरे ख़्वाब की तशरीह चाहे जब भी करें
शिकस्त-ए-ख़्वाब की मंज़िल भी कब नई है हमें
वही जो करते चले आएँ हैं सो अब भी करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek shukla
our suggestion based on Abhishek shukla
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari