aabroo-e-shab-e-teera nahin rakhne waale | आबरू-ए-शब-ए-तीरा नहीं रखने वाले - Abhishek shukla

aabroo-e-shab-e-teera nahin rakhne waale
ham kahi par bhi andhera nahin rakhne waale

aaina rakhne ka ilzaam bhi aaya ham par
jab ki ham log to chehra nahin rakhne waale

ham pe farhaad ka kuchh qarz nikalta hai so ham
tum kaho bhi to ye tesha nahin rakhne waale

ham ko maaloom hain az-ru-e-mohabbat so ham
koi bhi dard ziyaada nahin rakhne waale

आबरू-ए-शब-ए-तीरा नहीं रखने वाले
हम कहीं पर भी अँधेरा नहीं रखने वाले

आइना रखने का इल्ज़ाम भी आया हम पर
जब कि हम लोग तो चेहरा नहीं रखने वाले

हम पे फ़रहाद का कुछ क़र्ज़ निकलता है सो हम
तुम कहो भी तो ये तेशा नहीं रखने वाले

हम को मालूम हैं अज़-रु-ए-मोहब्बत सो हम
कोई भी दर्द ज़ियादा नहीं रखने वाले

- Abhishek shukla
1 Like

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishek shukla

As you were reading Shayari by Abhishek shukla

Similar Writers

our suggestion based on Abhishek shukla

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari