ab faslon ko beemaari se door rakha jaaye
bachchon ko duniyaadaari se door rakha jaaye
ik upvan mein phirti ik maasoom ghazala ko
sayyaadon kii ayyaari se door rakha jaaye
khwaabon se roti ka sauda karne nikla baap
us ko uski laachaari se door rakha jaaye
sabse milna padta hai jhoota chehra lekar
mujhko ab rishtedaari se door rakha jaaye
har bacche ko mil jaaye har baar khilone bhi
tyaoharon ko naadaari se door rakha jaaye
अब फ़स्लों को बीमारी से दूर रखा जाए
बच्चों को दुनियादारी से दूर रखा जाए
इक उपवन में फिरती इक मासूम ग़ज़ाला को
सय्यादों की अय्यारी से दूर रखा जाए
ख़्वाबों से रोटी का सौदा करने निकला बाप
उस को उसकी लाचारी से दूर रखा जाए
सबसे मिलना पड़ता है झूठा चेहरा लेकर
मुझको अब रिश्तेदारी से दूर रखा जाए
हर बच्चे को मिल जाए हर बार खिलौने भी
त्यौहारों को नादारी से दूर रखा जाए
As you were reading Shayari by Abhinav Srivastav
our suggestion based on Abhinav Srivastav
As you were reading undefined Shayari