dil ko laga kar chhod dene ka hunar aaya nahin | दिल को लगा कर छोड़ देने का हुनर आया नहीं

  - Abhinav Srivastav

dil ko laga kar chhod dene ka hunar aaya nahin
aasaan tha phir laut aana main magar aaya nahin

ye log kah kar thak gaye ab main bhi tham jaaun zara
unse main ye kaise kahoon bas mera ghar aaya nahin

saari hi shab jaaga raha ik khwaab kii taabeer mein
us khwaab ka vo ek hissa raat bhar aaya nahin

tum ishq kah lo ya ki zid ya phir junooni sirfira
yun hi akela chal pada jab hamsafar aaya nahin

bas umr bhar taira kiya main to ult har lehar pe
phir sochta hoon kyun samundar mere dar aaya nahin

chhodo bhi ab jaane bhi do kis se hamaara gham kahein
kya ho gaya jo us mohabbat ka asar aaya nahin

दिल को लगा कर छोड़ देने का हुनर आया नहीं
आसान था फिर लौट आना मैं मगर आया नहीं

ये लोग कह कर थक गए अब मैं भी थम जाऊँ ज़रा
उनसे मैं ये कैसे कहूँ बस मेरा घर आया नहीं

सारी ही शब जागा रहा इक ख़्वाब की ताबीर में
उस ख़्वाब का वो एक हिस्सा रात भर आया नहीं

तुम इश्क़ कह लो या कि ज़िद या फिर जुनूनी सिरफिरा
यूँ ही अकेला चल पड़ा जब हमसफ़र आया नहीं

बस उम्र भर तैरा किया मैं तो उलट हर लहर पे
फिर सोचता हूँ क्यूँ समुन्दर मेरे दर आया नहीं

छोड़ो भी अब जाने भी दो किससे हमारा ग़म कहें
क्या हो गया जो उस मोहब्बत का असर आया नहीं

  - Abhinav Srivastav

More by Abhinav Srivastav

As you were reading Shayari by Abhinav Srivastav

Similar Writers

our suggestion based on Abhinav Srivastav

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari