main ne logon ko na logon ne mujhe dekha tha | मैं ने लोगों को न लोगों ने मुझे देखा था

  - Abid Malik

main ne logon ko na logon ne mujhe dekha tha
sirf us raat andheron ne mujhe dekha tha

poochta firta hoon main apna pata jungle se
aakhiri baar darakhton ne mujhe dekha tha

yoonhi in aankhon mein rahti nahin soorat meri
aakhir us shakhs ke khwaabon ne mujhe dekha tha

is liye kuchh bhi saleeqe se nahin kar paata
ghar mein bikhri hui cheezein ne mujhe dekha tha

doobte waqt bachaane nahin aaye lekin
yahi kaafi hai ki apnon ne mujhe dekha tha

मैं ने लोगों को न लोगों ने मुझे देखा था
सिर्फ़ उस रात अँधेरों ने मुझे देखा था

पूछता फिरता हूँ मैं अपना पता जंगल से
आख़िरी बार दरख़्तों ने मुझे देखा था

यूँही इन आँखों में रहती नहीं सूरत मेरी
आख़िर उस शख़्स के ख़्वाबों ने मुझे देखा था

इस लिए कुछ भी सलीक़े से नहीं कर पाता
घर में बिखरी हुई चीज़ों ने मुझे देखा था

डूबते वक़्त बचाने नहीं आए लेकिन
यही काफ़ी है कि अपनों ने मुझे देखा था

  - Abid Malik

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abid Malik

As you were reading Shayari by Abid Malik

Similar Writers

our suggestion based on Abid Malik

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari