gulon ko choo ke shameem-e-dua nahin aayi
khula hua tha dareecha saba nahin aayi
hawaa-e-dasht abhi to junoon ka mausam tha
kahaan the ham tiri aawaaz-e-paa nahin aayi
abhi sahifa-e-jaan par raqam bhi kya hoga
abhi to yaad bhi be-saakhta nahin aayi
ham itni door kahaan the ki phir palat na saken
savaad-e-shehr se koi sada nahin aayi
suna hai dil bhi nagar tha rasaa basa bhi tha
jala to aanch bhi ahl-e-wafa nahin aayi
na jaane qafile guzre ki hai qayaam abhi
abhi charaagh bujhaane hawa nahin aayi
bas ek baar manaaya tha jashn-e-mehroomi
phir is ke ba'ad koi ibtila nahin aayi
hateliyon ke gulaabon se khoon rishta raha
magar vo shokhi-e-rang-e-hina nahin aayi
ghayoor dil se na maangi gai muraad ada
barsne aap hi kaali ghatta nahin aayi
गुलों को छू के शमीम-ए-दुआ नहीं आई
खुला हुआ था दरीचा सबा नहीं आई
हवा-ए-दश्त अभी तो जुनूँ का मौसम था
कहाँ थे हम तिरी आवाज़-ए-पा नहीं आई
अभी सहीफ़ा-ए-जाँ पर रक़म भी क्या होगा
अभी तो याद भी बे-साख़्ता नहीं आई
हम इतनी दूर कहाँ थे कि फिर पलट न सकें
सवाद-ए-शहर से कोई सदा नहीं आई
सुना है दिल भी नगर था रसा बसा भी था
जला तो आँच भी अहल-ए-वफ़ा नहीं आई
न जाने क़ाफ़िले गुज़रे कि है क़याम अभी
अभी चराग़ बुझाने हवा नहीं आई
बस एक बार मनाया था जश्न-ए-महरूमी
फिर इस के बा'द कोई इब्तिला नहीं आई
हथेलियों के गुलाबों से ख़ून रिसता रहा
मगर वो शोख़ी-ए-रंग-ए-हिना नहीं आई
ग़यूर दिल से न माँगी गई मुराद 'अदा'
बरसने आप ही काली घटा नहीं आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ada Jafarey
our suggestion based on Ada Jafarey
As you were reading Mausam Shayari Shayari