aakhiri tees aazmaane ko | आख़िरी टीस आज़माने को

  - Ada Jafarey

aakhiri tees aazmaane ko
jee to chaaha tha muskuraane ko

yaad itni bhi sakht-jaan to nahin
ik gharaunda raha hai dhaane ko

sang-rezo mein dhal gaye aansu
log hanste rahe dikhaane ko

zakhm-e-naghma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko

jalne waale to jal bujhe aakhir
kaun deta khabar zamaane ko

kitne majboor ho gaye honge
an-kahi baat munh pe laane ko

khul ke hansna to sab ko aata hai
log tarse hain ik bahaane ko

reza reza bikhar gaya insaan
dil ki veeraaniyaan jataane ko

hasraton ki panaah-gaahon mein
kya thikaane hain sar chhupaane ko

haath kaanton se kar liye zakhmi
phool baalon mein ik sajaane ko

aas ki baat ho ki saans ada
ye khilone the toot jaane ko

आख़िरी टीस आज़माने को
जी तो चाहा था मुस्कुराने को

याद इतनी भी सख़्त-जाँ तो नहीं
इक घरौंदा रहा है ढाने को

संग-रेज़ो में ढल गए आँसू
लोग हँसते रहे दिखाने को

ज़ख़्म-ए-नग़्मा भी लौ तो देता है
इक दिया रह गया जलाने को

जलने वाले तो जल बुझे आख़िर
कौन देता ख़बर ज़माने को

कितने मजबूर हो गए होंगे
अन-कही बात मुँह पे लाने को

खुल के हँसना तो सब को आता है
लोग तरसे हैं इक बहाने को

रेज़ा रेज़ा बिखर गया इंसाँ
दिल की वीरानियाँ जताने को

हसरतों की पनाह-गाहों में
क्या ठिकाने हैं सर छुपाने को

हाथ काँटों से कर लिए ज़ख़्मी
फूल बालों में इक सजाने को

आस की बात हो कि साँस 'अदा'
ये खिलौने थे टूट जाने को

  - Ada Jafarey

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ada Jafarey

As you were reading Shayari by Ada Jafarey

Similar Writers

our suggestion based on Ada Jafarey

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari