kya jaaniye kis baat pe maghroor rahi hoon | क्या जानिए किस बात पे मग़रूर रही हूँ

  - Ada Jafarey

kya jaaniye kis baat pe maghroor rahi hoon
kehne ko to jis raah chalaaya hai chali hoon

tum paas nahin ho to ajab haal hai dil ka
yun jaise main kuchh rakh ke kahi bhool gai hoon

phoolon ke katoron se chhalk padti hai shabnam
hansne ko tire peeche bhi sau baar hasi hoon

tere liye taqdeer meri jumbish-e-abroo
aur main tira eema-e-nazar dekh rahi hoon

sadiyon se mere paanv tale jannat-e-insaan
main jannat-e-insaan ka pata pooch rahi hoon

dil ko to ye kahte hain ki bas qatra-e-khoon hai
kis aas pe ai sang-e-sar-e-raah chali hoon

jis haath ki taqdees ne gulshan ko sanwaara
us haath ki taqdeer pe aazurda rahi hoon

qismat ke khilone hain ujaala ki andhera
dil sho'la-talab tha so bahr-haal jali hoon

क्या जानिए किस बात पे मग़रूर रही हूँ
कहने को तो जिस राह चलाया है चली हूँ

तुम पास नहीं हो तो अजब हाल है दिल का
यूँ जैसे मैं कुछ रख के कहीं भूल गई हूँ

फूलों के कटोरों से छलक पड़ती है शबनम
हँसने को तिरे पीछे भी सौ बार हँसी हूँ

तेरे लिए तक़दीर मिरी जुम्बिश-ए-अबरू
और मैं तिरा ईमा-ए-नज़र देख रही हूँ

सदियों से मिरे पाँव तले जन्नत-ए-इंसाँ
मैं जन्नत-ए-इंसाँ का पता पूछ रही हूँ

दिल को तो ये कहते हैं कि बस क़तरा-ए-ख़ूँ है
किस आस पे ऐ संग-ए-सर-ए-राह चली हूँ

जिस हाथ की तक़्दीस ने गुलशन को सँवारा
उस हाथ की तक़दीर पे आज़ुर्दा रही हूँ

क़िस्मत के खिलौने हैं उजाला कि अँधेरा
दिल शो'ला-तलब था सो बहर-हाल जली हूँ

  - Ada Jafarey

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ada Jafarey

As you were reading Shayari by Ada Jafarey

Similar Writers

our suggestion based on Ada Jafarey

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari