achaanak dilruba mausam ka dil-aazaar ho jaana | अचानक दिलरुबा मौसम का दिल-आज़ार हो जाना

  - Ada Jafarey

achaanak dilruba mausam ka dil-aazaar ho jaana
dua aasaan nahin rahna sukhun dushwaar ho jaana

tumhein dekhen nigaahen aur tum ko hi nahin dekhen
mohabbat ke sabhi rishton ka yun nadaar ho jaana

abhi to be-niyaazi mein takhaatub ki si khushboo thi
hamein achha laga tha dard ka dildaar ho jaana

agar sach itna zalim hai to ham se jhooth hi bolo
hamein aata hai patjhad ke dinon gul-baar ho jaana

abhi kuchh an-kahe alfaaz bhi hain kunj-e-mizgaan mein
agar tum is taraf aao saba-raftaar ho jaana

hawa to hum-safar thehri samajh mein kis tarah aaye
hawaon ka hamaari raah mein deewaar ho jaana

abhi to silsila apna zameen se aasmaan tak tha
abhi dekha tha raaton ka sahar-aasaar ho jaana

hamaare shehar ke logon ka ab ahvaal itna hai
kabhi akhbaar padh lena kabhi akhbaar ho jaana

अचानक दिलरुबा मौसम का दिल-आज़ार हो जाना
दुआ आसाँ नहीं रहना सुख़न दुश्वार हो जाना

तुम्हें देखें निगाहें और तुम को ही नहीं देखें
मोहब्बत के सभी रिश्तों का यूँ नादार हो जाना

अभी तो बे-नियाज़ी में तख़ातुब की सी ख़ुशबू थी
हमें अच्छा लगा था दर्द का दिलदार हो जाना

अगर सच इतना ज़ालिम है तो हम से झूट ही बोलो
हमें आता है पतझड़ के दिनों गुल-बार हो जाना

अभी कुछ अन-कहे अल्फ़ाज़ भी हैं कुंज-ए-मिज़्गाँ में
अगर तुम इस तरफ़ आओ सबा-रफ़्तार हो जाना

हवा तो हम-सफ़र ठहरी समझ में किस तरह आए
हवाओं का हमारी राह में दीवार हो जाना

अभी तो सिलसिला अपना ज़मीं से आसमाँ तक था
अभी देखा था रातों का सहर-आसार हो जाना

हमारे शहर के लोगों का अब अहवाल इतना है
कभी अख़बार पढ़ लेना कभी अख़बार हो जाना

  - Ada Jafarey

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ada Jafarey

As you were reading Shayari by Ada Jafarey

Similar Writers

our suggestion based on Ada Jafarey

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari